ghair par lutf kare hum pe sitam ya qismat tha nasibon mein hamare ye sanam ya qismat yar tu yar nahin bakht hain so ulte hain kab talak hum ye sahen dard-o-alam ya qismat kucha-gardi se use shauq hai lekin gahe is taraf ko nahin rakhta wo qadam ya qismat kucha-e-yar mein thodi si jagah de ai bakht mangta tujh se nahin mulk-e-ajam ya qismat jaan-o-dil mein se nahin ek bhi ab nek-nasib donon kam-bakht hue aa ke baham ya qismat 'asif' ab aur lage karne taraqqi din raat shamat-e-bakht hui meri to kam ya qismat