ab gharaz mai se na mina se na paimane se

ab gharaz mai se na mina se na paimane se
saqiya ho gai nafrat tere maikhane se

dil ko hai ishq mein pahle hi se uljhan kafir
aur uljhe na teri zulf ke suljhane se

mera iman gaya dil bhi gaya jaan bhi gai
ye sab aafat hui us aankh ke lad jaane se

ranj-e-hijran gham-e-furqat alam-e-wasl-e-adu
dam ke hain sath mere jaenge dam jaane se

naseha main bhi kuchh aisa nahin nadan ki bas
chhod dun rah-e-mohabbat tere bahkane se

sath jati dil-e-mahzun ke jo ye jaan-e-hazin
chhut jata main shab-o-roz ke gham khane se

'lutf' kis tarah kare fikr-e-visal-e-jaanan
ek dam ki nahin fursat use gham khane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close