dil shikasta hai ruh pyasi hai

dil shikasta hai ruh pyasi hai
ek be-nam si udasi hai

ranj kya aish kya tamiz kise
silsila-war bad-hawasi hai

saf-goi ki wasf thi pahle
in dinon jurm-e-narawa si hai

kitna aasan hai mo'atabar hona
kitni dushwar khud-shanasi hai

meri isyan-nigahi ka maujib
aap ki mukhtasar-libasi hai

thodi jurat se kya nahin hota
phir wo ladki bhi aadi-basi hai

mere sheron mein fan nahin na sahi
aap ki rae iqtibasi hai

reshmi zulf chand-sa chehra
sar pe aanchal magar kapasi hai

pyasi pyasi hai aarzu 'afzal'
mamlikat dil ki karbala si hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close