aashuftagi phir aaj mana le gai mujhe ek bu-e-rah-guzar-e-bala le gai mujhe jaana tha main ne main tere qadmon ki dhul hun duniya samajh ke phul utha le gai mujhe chaaragaron ko meri hawa tak na mil saki chupke se koi sham-e-bala le gai mujhe tujh ko pukarna tha na dasht-e-talab mein dost dur aur tujh se teri sada le gai mujhe ab anjuman mein baitha hun gum-sum kahun bhi kya duzdida ek udasi chura le gai mujhe rakhta bhi kaun pyase sawalon ki aabru bas meri khamushi hi nibha le gai mujhe us mein kisi talab ka 'musawwir' na tha sawal mai-khane ek laghzish-e-pa le gai mujhe