aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha is mohabbat ne tode hain hum par sitam tu bhi saudai tha ye na malum tha tute ek tar se soz aur saz se kitni mushkil se joda tha hum ne jise tinka tinka hai bikhra wahi aashiyan aaegi yun bala ye na malum tha teri fitrat mein zalim hai saudagari teri mahfil mein ulfat bhi bikti rahi jhute wadon se mere hasin khwab ka tu ne sauda kiya ye na malum tha pyar tujh ko kiya main ne sachchai se phir bhi ai chaaragar kyon kiya ye sitam mujh se munh mod kar jaega chhod kar tu nahin hai mera ye na malum tha jab bhi hum haar kar tut kar ro pade apni qismat pe aur apne haalat par ek naya azm le kar mera hausla dega mujh ko sada ye na malum tha teri duniya mein yarab ye kaisa chalan kyon khilauna samajhte hain dil ko sabhi hogi majruh meri jawan-arzu dard mil jaega ye na malum tha mar chuka tha jahan mein tu mere liye phir bhi mere khayalon mein zinda raha main bhi murda si duniya mein ji lungi yun lash ban ke sada ye na malum tha mera dil jaane kyon bewafa dilruba umr bhar khwab tere hi bunta raha tu kisi aur ke khwabon ka ban chuka ek tabir tha ye na malum tha meri sanson ne mujh se baghawat hi ki to meri sans tha tu meri ruh bhi tu ibaadat meri tu hi dhadkan meri tu hi mera khuda ye na malum tha dil dhadakta hai mera tere nam par meri sansen bhi chalti hain ehsas par tu hi manzil meri to meri justuju tu mera nakhuda ye na malum tha be-sahaara hun main hun nasibon jali kitni majbur duniya mein hun na-tawan tu mera to nahin phir bhi dil mein to hai tu mera aasra ye na malum tha ashk bahte rahe phir bhi hansti rahi lab pe 'shahnaz' uf tak na main la saki meri sachchaiyan hi meri hain khata dil tha baghi mera ye na malum tha chot lagti rahi hans ke sahti rahi lab pe 'shahnaz' uf tak na main la saki meri barbaadiyon ka sabab ishq hai zindagi bewafa ye na malum tha