saje hain har taraf bazar aisa kyun nahin hota bike ab to gham-e-lachaar aisa kyun nahin hota tumhaare aur mere darmiyan parda hai ghaflat ka gire kambakht ye diwar aisa kyun nahin hota abhi yun hi khayal aaya agar wo zulm karta hai to pahunche kaifar-e-kirdar aisa kyun nahin hota farishta hi chala aae agar insan nahin aata mera dil hai bayaban ghaar aisa kyun nahin hota kisi ki yaad ki thandi hawaen aaj bhi hain par karen dil ko gul-o-gulzar aisa kyun nahin hota ghazal ka sher un par bhi asar-andaz hota hai miyan 'ulfat' magar har bar aisa kyun nahin hota