aasman ki aankh suraj chand binai bhi hai raushni mere liye kyun wajh-e-ruswai bhi hai kis ko sine se lagaun main kise apna kahun sail-e-rang-o-bu jise kahte hain tanhai bhi hai maslahat andesha-e-gham ko zara kam kar gai falsafa wo jhut shamil jis mein danai bhi hai zahr-aluda faza mein jab kali sone lagi ashk-e-shabnam ne kaha gulshan mein purwai bhi hai fikr jaise aaina-dar-aina raushan charagh tirgi mere liye ehsas-e-ranai bhi hai munkashif hote gae ham-surat-e-sang-e-wajud zindagi husn-e-adam bhi kar-farmai bhi hai sher kahne ka saliqa hai yahi ahmad-'zafar' shairon ne baat samjhi bhi hai samjhai bhi hai