gahraiyon se mujh ko kisi ne nikal ke phenka hai aasman ki jaanib uchhaal ke main ne zamin ko nap liya aasman tak nazron mein fasle hain uruj-o-zawal ke chehre har ek se puchh rahe hain koi jawab shoalon pe kuchh nishan lage hain sawal ke log mein ab wo charb-zabani nahin rahi ya hijr mein udas hain qisse visal ke har shakhs se mila hun badi ehtiyat se har shakhsiyyat ko main ne padha hai sambhaal ke ab shairi se sirf hai lafzon ka wasta rishte tamam ho gae fikr-o-khayal ke