ai jaan husn-e-afsar-e-khuban tumhin to ho main ek gada-e-ishq hun sultan tumhin to ho pahunchi hai aasman pe tajalli jamal ki kahte hain log mehr-e-darakhshan tumhin to ho sach sach ye kah raha hai tanasukh ka masala ruh-e-aziz-e-yusuf-e-kanan tumhin to ho aage tumhaare sarw hai ghairat se pa-ba-gul sahn-e-chaman mein sarw-e-khiraman tumhin to ho har baat par bigadte ho rindon se shaikh-ji sare jahan mein ek musalman tumhin to ho dil mera le ke tum ne khilauna bana liya duniya mein ek tiflak-e-nadan tumhin to ho baaton mein sehr chaal mein mahshar nigah mein qahr sabit hai in se fitna-e-dauran tumhin to ho dil de ke tum ko kyun na kahun maya-e-hayat mere jigar tumhin ho meri jaan tumhin to ho maddah hon tumhaare na kis tarah haq-pasand 'ahqar' buton ke ek sana-khwan tumhin to ho