ibaadaton ko meri ratjaga samajhta hai wo sachche pyar ko bhi falsafa samajhta hai main us ko dil se ghazal ki radif manti hun mujhe wo sher ka ek qafiya samajhta hai tumhein to sirf ye khwahish ki raat raushan ho hai karb jalne ka ye bas diya samajhta hai main apne gham ko chhupa kar jo thoda hansti hun wo na-samajh ise meri ada samajhta hai hamari ruh pe mahke hain phul zakhmon ke zamana jin ko gulon ki qaba samajhta hai dikhai dete hain sanjidgi ke naqsh-o-nigar hamari shokhiyan kab aaina samajhta hai qadam qadam pe bichhata hai thokaren 'sima' thakan panw ki kab rasta samajhta hai