ashk pine pe rahe dard chhupane pe rahe

ashk pine pe rahe dard chhupane pe rahe
ek sach bol ke kis kis ke nishane pe rahe

umr-bhar husn tere naz uthane pe rahe
aab aankhon mein liye aag bujhane pe rahe

tum parinde the gae aae gae phir aae
ped the hum to sada ek thikane pe rahe

hum se chhodi na gai arz-e-watan ki mitti
apne ajdad ki qabron ke bahane pe rahe

muflisi bhuk ye bachcha ye khilaune ki dukan
bojh itna na kisi bap ke shane pe rahe

aise mausam mein tumhein yaad bahut aaunga
jab hawa surkh gulabon ko jalane pe rahe

jab bhi shab-khun qabile pe adu ne mara
jitne sardar the sab jaan bachane pe rahe

mujh se har sans pe manga gaya shiddat se khiraj
mere ehsan idhar sare zamane pe rahe

taj ghairon ne mere sar pe sajae 'bazmi'
mere apne meri dastar girane pe rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close