aasman tha tum the ya mera sitara kaun tha meri har manzil masafat se badalta kaun tha bas yunhi ek zid mein sari zindagi barbaad ki jaanta hun rog kya the aur mudawa kaun tha har qadam taza kumak milti rahi apne khilaf mera apna hi adu mere alawa kaun tha kya kisi ummid par phir se dar-e-dil wa karun tujh se badh kar khud bata mera shanasa kaun tha wo to main bas pyar kar baitha kisi se ai khuda warna tere in khilaunon se bahalta kaun tha