kis ko hai husn-e-khuda-dad ka dawa dekhen kis ka chehra nahin minnat-kash-e-ghaza dekhen jo muqaddar hai wo anjam-e-tamanna dekhen dil-e-wahshat-zada chal aaj use ja dekhen dil ye kahta hai ki husn us ka jahan-tab bhi ho aur phir ye bhi hai ki hum hi use tanha dekhen aao kuchh jashn-e-shahadat hi mein shirkat ho jae apni khidki hi se maqtal ka nazara dekhen kaun manjdhaar mein jae sar-e-sahil baithen dur se dubne walon ka tamasha dekhen ab bhi hota hai wahan zikr hamara ki nahin aalam us bazm ka ab kya hai zara ja dekhen