zist ki aagahi ka hasil hai dard hi shairi ka hasil hai hai khirad bhi khirad ke narghe mein ishq khud gumrahi ka hasil hai zindagi ka sabaat hai is mein ye jo aansu hansi ka hasil hai yun tera pas se guzar jaana umr ki be-rukhi ka hasil hai puchhti hai saba gulistan se phul kyun tazgi ka hasil hai lut leti hai qafile kaise raat jab bandagi ka hasil hai kab ye jaanega aadmi jaane aadmi aadmi ka hasil hai hai tarannum sada ke pardon mein naghmagi bansuri ka hasil hai soch ka samt rah nahin sakti sher aawargi ka hasil hai is qadar pas aa ke mat baitho qurb beganagi ka hasil hai tu mere rat-jagon ki manzil hai din ki diwangi ka hasil hai