did ki tamanna mein aankh bhar ke roe the hum bhi ek chehre ko yaad kar ke roe the samne to logon ke gham chhupa liye apne aur jab hue tanha hum bikhar ke roe the hum se in andheron ko kis liye shikayat hai hum to khud charaghon ki lau katar ke roe the jab talak the kashti par khud ko rok rakkha tha sahilon pe aate hi hum utar ke roe the aaine mein rota wo aks bhi hamara tha jis ko dekh kar akasr hum biphar ke roe the yaad hai abhi tak wo ek sham bachpan ki jaane kya hua tha sab log ghar ke roe the sahilon pe aati hai aaj bhi sada un ki dubne se kuchh pahle jo ubhar ke roe the har taraf thi khamoshi aur aisi khamoshi raat apne sae se hum bhi dar ke roe the tab pata chala hum ko zakhm kitne gahre hain dard ke nashebon mein jab utar ke roe the hum ne apni aankhon se hadsa wo dekha tha pattharon ki basti mein zakhm sar ke roe the