aasmanon se zamin ki taraf aate hue hum ek majme ke liye sher sunate hue hum kis guman mein hain tere shahr ke bhatke hue log dekhne wale palat kar nahin jate hue hum kaisi jannat ke talabgar hain tu jaanta hai teri likkhi hui duniya ko mitate hue hum rail dekhi hai kabhi sine pe chalne wali yaad to honge tujhe hath hilate hue hum tod dalenge kisi din ghane jangal ka ghurur lakdiyan chunte hue aag jalate hue hum tum to sardi ki hasin dhup ka chehra ho jise dekhte rahte hain diwar se jate hue hum khud ko yaad aate hi be-sakhta hans padte hain kabhi khat to kabhi taswir jalate hue hum