kahne ko sham-e-bazm-e-zaman-o-makan hun main socho to sirf kushta-e-daur-e-jahan hun main aata hun main zamane ki aankhon mein raat din lekin khud apni nazron se ab tak nihan hun main jata nahin kinaron se aage kisi ka dhyan kab se pukarta hun yahan hun yahan hun main ek dubte wajud ki main hi pukar hun aur aap hi wajud ka andha kuan hun main cigarette jise sulagta hua koi chhod de us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main