kahti hui ye mujh se hawa-e-sahar gai dasht-e-talab mein shabnam-e-ehsas mar gai rakkha na tha qadam abhi dasht-e-sukut mein aawaz meri apne hi sae se dar gai main us ka nauha ban ke andhere mein ghul gaya wo ek kiran jo mere liye dar-ba-dar gai main likh raha tha phul ki patti pe tera nam kante ki nok sina-e-gul mein utar gai mahfil mein raat nit-nae chehron ke shor mein wo kaun tha ki jis se lipatne nazar gai jis se thi aabru-e-talatum wo mauj bhi 'khalid' kanar-e-khak pe sar rakh ke mar gai