aastane lahu mein tar dekhe ibn-e-mariyam salib par dekhe ye karishma hai dair-o-kaba ka jalte aatish baghair ghar dekhe dekhi taqdis nachte uryan hanste us par haram ke dar dekhe shama roi na hashr-e-mahfil par lutte jazbaat ta-sahar dekhe phul masle gae aqidat ke jalwe mahmil ke dar-ba-dar dekhe chashm-e-ibrat mein pad gae kante dekhne wale be-basar dekhe panw uthte nahin musafir ke sanp ki tarah rahguzar dekhe hum ko nisbat na ho sikandar se hum bhatakte rahen khizar dekhe 'bakht' duba kuchh is tarah sahil chashm-e-barbaad se bhanwar dekhe