chashm-e-junun mein husn-e-salasil hai be-qarar kis ki gali mein jashn-e-gareban manaen hum shayad kisi ka hath badhe ban ke muddai ilzam ki talash mein daman sajaen hum rauzan banega dida-e-yaqub ek din apne liye khud aap hi zindan banaen hum chhupne lagi hai zist andheron ki god mein aao to phir charagh-e-hawadis jalaen hum shahr-e-tarab mein milte hain apne bhi naqsh-e-pa aae na gar yaqin to aao dikhaen hum jalwe hi das rahe hain shuur-e-jamal ko kis ko hadis-e-wadi-e-aiman sunaen hum dasht-e-talab ke khar bhi dil mein chubhoiye phir kaise lab pe harf-e-taqaza na laen hum uryan kiya salib ne hum ko bhi apne sath socha tha aasman-e-chahaarum pe jaen hum phir garm ret ud ke chali bastiyon ki samt mahmil-nashin ko dhundh ke sahra mein laen hum zahrab ban chuka hai ye ehsas-e-agahi ab kis ko bakht dard ka darman banaen hum