shua-e-zar na mili rang-e-shairana mila mata-e-nur se kya mujh ko munsifana mila main kis se puchhun ki is sail-e-khak se bahar kise nikalna na tha kis ko rasta na mila kahin dikhai na di anjum-e-dua ki chamak ghane andhere mein ek hath bhi utha na mila bhatak raha hun main is dasht-e-sang mein kab se abhi talak to dar-e-aina khula na mila jalae phirta raha mishal-e-tajassus main magar suragh kahin khoi sham ka na mila ugalta hoga kabhi sona chandi khitta-e-dil mujhe to ek bhi sikka yahan pada na mila nawah-e-jaan mein wo tufan-e-habs tha ki 'hasan' hawa to kya ki kahin hawa na mila