aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin yani amin-e-daulat-e-gham bolte nahin waraftagan-e-ijz ka aalam hai didani sar hai dar-e-niyaz pe kham bolte nahin kyun bargah-e-naz mein tari hai khamushi kya sakinan-e-bagh-e-iram bolte nahin shikwa-taraaz jabr-e-mohabbat hain bul-hawas ahl-e-wafa khuda ki qasam bolte nahin kis din tha imtihan-e-wafa se mujhe gurez kab dagmagae mere qadam bolte nahin hai sharh-e-karb-e-zist ka ashkon pe inhisar lekin ye tarjuman-e-alam bolte nahin 'inam' zulm-o-jaur musalsal ke bawajud hum hain fida-e-lazzat-e-gham bolte nahin