aata hun jab us gali se sau sau khwari khinch kar phir wahin le jae mujh ko be-qarari khinch kar pahuncha hai ab to nihayat ko hamara haal-e-zar la use jis-tis tarah tasir-e-zari khinch kar koh-e-gham rakhti hai dil par is khiram-e-naz se khajlat-e-raftar-e-kabk-e-kohsari khinch kar kis ke shor-e-ishq se yun rota rahta hai sada nala o fariyaad ye abr-e-bahaari khinch kar bandhun hun warastagi ka dil mein apne jab khayal bandh le jaen hamein zulfen tumhaari khinch kar kal jo tu ghar se na nikla uth gaya kar ke dua subh se ta-sham main kya intizari khinch kar galiyan de mar le ya qatl kar mukhtar hai lai ab to yan mujhe be-ikhtiyari khinch kar saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jam aaya hun yan main azab-e-hoshyari khinch kar 'hasrat' us ki bazm ke jaane se rakh mujh ko muaf muft mein roega wan se sharmsari khinch kar