aate hain pahle lab pe sawalat khud-bakhud phir hum ko sujhte hain jawabaat khud-bakhud sochon mein apne aap utarti hai raushni jalti hai dil mein mashal-e-jazbaat khud-bakhud jab tak na lenge fahm-o-farasat se kaam hum badlegi kaise surat-e-haalat khud-bakhud qasr-e-tasawwuraat mein jab se muqim hain hoti hai roz un se mulaqat khud-ba-khud tanwir jin ki hai mere ek ek lafz mein nazil hui hain mujh pe wo aayat khud-ba-khud chamka hai kis ki yaad ka suraj khayal mein raushan hua hai shahr-e-khayalat khud-ba-khud 'shahid' isi ka nam hai taufiq-e-aizdi nikla zaban se harf-e-munajat khud-ba-khud