ab kya kahen jo mausam-e-gulshan ka haal hai phulon se rabta na saba ka khayal hai har aarzu ki aankh mein aansu lahu ke hain kis ka ye dil ke shahr mein yaum-e-visal hai mujh ko kiya tha qaidi-e-taqdir kis liye qudrat se intizar-e-jawab-o-sawal hai jazbon ki anjuman mein usi ki hai raushni gul-ha-e-arzu mein usi ka jamal hai jo bukhl se kiya hai ikattha tamam umr tera nahin hai wo tere beton ka mal hai har gosha-e-zamin pe zara ghaur se padho likkhi jo dastan-e-uruj-o-zawal hai 'shahid' wo puchhte hain mera haal kya kahun jaisa tha pichhle sal wahi ab ke sal hai