aate jate log hamein kyun dost purane lagte hain chahat ki is had par yarab hum to diwane lagte hai sunne wala koi agar hota kahte dil ki baaton ko us ke bina to aaj adhure apne fasane lagte hain phir se bahaaren le kar aai mahki hui si yaadon ko aa bhi jao ab milne ke achchhe bahane lagte hain dil karta hai phir se dekhun khoe hue us manzar ko pyasi aankho ko wo nazare kitne suhane lagte hain khushbu wahi hai rang wahi hai aaj wafa ke phulon ka aap kya aae phir se chaman mein din wo purane lagte hain tuti hui si ek 'kiran' hai kafi andhere walon ko ghar mein ujala dhundhne wale ghar ko sajaane lagte hai