kabhi to mund len aankhen kabhi nazar kholen kisi tarah se koi raushni ka dar kholen hawaen sard hain upar se tez barish hai parind kaise bhala apne baal-o-par kholen hamare samne ab aisa waqt aa pahuncha ki hum dimagh ko bandhen dil-o-jigar kholen bajae aab ho shorab se numu jin ki wo ped kaise badhen kaise barg-o-bar kholen yaqin kaise dilaen wafa-shiari ka dilon ko chaak karen ya ki hum jigar kholen nahin hai kuchh bhi magar dil ye chahta hai bahut ki ek roz zara chal ke apna ghar kholen har ek samt hai diwar sar uthae hue koi batae ki hum khidkiyan kidhar kholen har ek aankh ki putli hai motiya ki shikar kise kamal dikhaen kahan hunar kholen