mazid kuchh nahin bola main ho gaya khamosh is ehtimam se us ne mujhe kaha khamosh ab aise haal mein kya khak guftugu hogi ki ek soch mein gum hai to dusra khamosh so yun hua ki laga qufl nutq-o-lab pe mere main tum se mil ke bahut der tak raha khamosh jab ehtimam se raunda gaya wajud mera to samne wo khada tha gurez-pa khamosh main jaanta hun meri sar-kashidgi ka sabab so mujh se baat na kar mere naseha khamosh samaaton mein nai gunj kis ne rakkhi hai ki har taraf se uthi ek hi sada khamosh main ek dasht-e-tamanna mein nim zinda hun hawas-bakhta ghayal barahna-pa khamosh