aatish-e-hijr ko ashkon se bujhane wale tujh ko rone bhi na denge ye zamane wale zahr-e-gham kha to sahi ai dil-e-mahrum-e-karam pursish-e-haal ko aa jaenge aane wale yaad aate hain to aae hi chale jate hain dil se jate hain kahan dil se bhulane wale dawa-e-did abas jurat-e-didar ghalat aap mein aa na sake aap ko pane wale jab se dekha hai tujhe main ne ye main dekhta hun mujh ko diwana samajhte hain zamane wale dil mein bhi baste hain arman-o-tamanna ki tarah nur ban kar meri nazron mein samane wale wo zara mast nigahon se pilaen to sahi hosh mein aaenge hum hosh se jaane wale kitne ahbab 'rishi' ishq ka dam bharte hain kitne hote hain magar naz uthane wale