zindagi sath faqat degi sahar hone tak kab ye socha tha kabhi mulk-badar hone tak kaun kab ruth gaya kis ko kahan bhul gae aao kuchh yaad karen khatm safar hone tak chand aansu jo tera tohfa hai lautaenge han chhupa rakkhe hain aankhon mein guhar hone tak mujh ko kuchh paudon ka zimma jo diya hai yarab yaad bhi rakhna zara un ke shajar hone tak aandhiyan aaengi tufan bhi dam todenge hum jiye jaenge phulon se samar hone tak zindagi mere taghaful se to naraaz na ho tujh se kya puchhta main apni khabar hone tak us se itna hi zara puchh le kya bit gaya dil ye kab rukta hai phir aankh ke tar hone tak hum ne chahat ke kisi saz pe jo hath dhara tham gaya dard har ek dard-e-jigar hone tak zindagi tujh se mohabbat to bahut hai lekin ruth jaen na kahin teri nazar hone tak chah jab aah se guzre to 'rishi' ban jae aur phir ji le kisi dasht ke ghar hone tak