ai shahr-e-khirad ki taza hawa wahshat ka koi inam chale kuchh harf-e-malamat aur chalen kuchh wird-e-zaban dushnam chale ek garmi-e-jast-e-farasat hai ek wahshat-e-pa-e-mohabbat hai jis panw ki taqat ji mein ho wo sath mere do-gam chale aaise gham-e-tufan mein akasr ek zid ko ek zid kat gai shayad ki nahang-asar hawa kuchh ab ke harif-e-dam chale jo baat sukut-e-lab tak hai us se na ulajh ai jazba-e-dil kuchh arz-e-hunar ki lag rahe kuchh mere junun ka kaam chale ai wadi-e-gham ye mauj-e-hawa ek saz-e-rah-e-saparan hai rukti hui rau khwabon ki koi ya subh chale ya sham chale tujh ko to hawaon ki zad mein kuchh raat gae tak jalna hai ek hum ki tere jalte jalte basti se charagh-e-sham chale jo naqsh-e-kitab-e-shatir hai us chaal se aakhir kya chaliye khele to zara dushwar chale haare bhi to kuchh din nam chale kya nam bataen hum us ka namon ki bahut ruswai hai kuchh ab ke bahaar-e-taza-nafas ek daur-e-wafa be-nam chale ye aap kahan 'madni'-sahib kuchh khair to hai mai-khana hai kya koi kitab-e-mai dekhi do ek to daur-e-jam chale