ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain har taraf apne kharidar nazar aate hain wo hamein makhzan-e-asrar nazar aate hain hum unhen aashiq-e-bezar nazar aate hain hum ko mai-khwar hi mai-khwar nazar aate hain sab mai-e-ishq se sarshaar nazar aate hain bad-zani zulm-o-sitam hajw-e-sanam ruswai ishq mein to bade aazar nazar aate hain sab ka dil lete hain aur apna nahin dete hain aap hum ko bade hoshyar nazar aate hain khatm mujh par hi nahin ishq masiha mere mujh ko to aap bhi bimar nazar aate hain ab jo ruswai pe meri unhen dard aaya hai baryabi ke kuchh aasar nazar aate hain dasht-paimai se jab aabla-pa sota hun khwab mein aap guhar-bar nazar aate hain ek wo hain ki zamane mein hai shohra jin ka ek hum mulk pe jo bar nazar aate hain kude-karkat ka milega na wilayat mein nishan hind mein har taraf ambar nazar aate hain kis se shikwa karun 'rahbar' ki sabhi ab to mujhe mere dilbar ke talabgar nazar aate hain