aawargam-e-sahra ku-e-sanam na dhunden jalwon ki wo bahaaren zulfon ke kham na dhunden ai shahr-e-sang tujh mein zakhmon ki kya kami hai tegh-e-ada-e-jalwa behtar hai hum na dhunden wo aabru-e-wahshat laen to ab kahan se wo jannat-e-tamanna wo dasht-e-gham na dhunden hasil na hoga kuchh bhi juz dagh-o-dard-e-ibrat ahl-e-wafa hamara naqsh-e-qadam na dhunden maqsad hai sirf itna wadon ki chandni ka khwab-e-sahar to dekhen tabir hum na dhunden hum be-niyaz guzre shohrat ki sazishon se nam-o-nishan hamara ahl-e-qalam na dhunden jaan di 'sarosh' hum ne rah-e-khulus-e-gham mein fard-e-amal hamari dair-o-haram na dhunden