khidkiyan sab band kamron aur dalanon ke bich bat gae pariwar aakhir sainkadon khanon ke bich mujh ko duniya jaan leti thi kisi ke nam se waqiye gum ho gae hain jaise afsanon ke bich main hun chhota tu bada hoga main kaise man lun ab yahi charcha hai apnon aur beganon ke bich ek taraf tark-e-talluq ek taraf hai us ki yaad hai kahan aasan guzarna aise tufanon ke bich kho diya har shakhs ne binai ka radd-e-amal ek chutki dhup hi phenki thi diwanon ke bich