aawaz de ke khud ko bulana pada mujhe apni madad ko aap hi aana pada mujhe mujh se tumhaare aks ko karta tha bad-guman aaina darmiyan se hatana pada mujhe phir is ke baad jurat-e-girya nahin hui ek ashk khak se jo uthana pada mujhe phir yun hua ki jhut ki aadat si ho gai phir yun hua ki sach ko chhupana pada mujhe pani qubul hi nahin karta tha meri lash dariya ko apna nam batana pada mujhe mehman aa gaya tha so khane ki mez par jalta hua charagh bujhana pada mujhe dharti ke zarf ka hua andaza jab 'munir' kuchh roz apna bojh uthana pada mujhe