hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka kiya hai faisla naw ne dariya par karne ka wahi hai mashghala sadiyon purana aaj bhi apna zamin par bojh hone aasman ko bar karne ka safar ka marhala to baad mein mahl-e-nazar hoga abhi to muddaa hai rasta pur-khar karne ka talluq tutta jata hai apne-ap se mera tawassut ban rahi hai aagahi bezar karne ka mujhe rakhti hai mushkil roz-marra ki sahulat mein mera mamul hai aasaniyan dushwar karne ka tamaddun ko hawa deti hai aashufta-sari meri mujhe tamir karta hai junun mismar karne ka kahan tak aur jaane aazmati jaegi mujh par hunar jo jaanti hai shaeri bekar karne ka wo kuchh se kuchh bana dalega taslimat ke mani saliqa aa gaya us ko agar inkar karne ka na jaane soch kar suraj ne kya shab ki qalam-rau par irada multawi hi kar diya yalghaar karne ka