aawazon ke jal bichhae jate hain khone wale ab kya pae jate hain achchhe achchhe logon ki kya puchhte ho yaad kiye jate hain bhulae jate hain hans hans kar jo phul khilae the tum ne is mausam mein sab murjhae jate hain suraj jaise jaise dhalta jata hai us ki diwaron tak sae jate hain rishton par ek aisa waqt bhi aata hai suljha suljha kar uljhae jate hain phir us ne rahon mein phul bichhae hain hum jaise phir thokar khae jate hain apne daman par hain 'shakil' apne aansu log magar ehsan jatae jate hain