hujum-e-dard ka itna badhe asar gum ho mile wo raat ki jis raat ki sahar gum ho maza to jab hai ki aawargan-e-shauq ke sath ghubar ban ke chale aur rahguzar gum ho hamari tarah kharab-e-safar na ho koi ilahi yun to kisi ka na rahbar gum ho chale hain hum bhi charagh-e-nazar jalae hue ye raushni bhi kahin rah mein agar gum ho talash-e-dost hai dil ko magar khuda jaane kahan kahan ye bhatakta phire kidhar gum ho chaman chaman hain wo nashw-o-numa ke hangame gulon ko dhundne jae to khud nazar gum ho sukhan ki jaan hai husn-e-bayan magar 'taban' na yun ki lafz hi rah jaen fikr-e-tar gum ho