dhundte dhundte khud ko main kahan ja nikla ek parda jo utha dusra parda nikla manzar-e-zist sarasar tah-o-baala nikla ghaur se dekha to har shakhs tamasha nikla ek hi rang ka gham-khana-e-duniya nikla gham-e-jaanan bhi gham-e-zist ka saya nikla is rah-e-zist ko hum ajnabi samjhe the magar jo bhi patthar mila barson ka shanasa nikla aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla ghar se nikle the ki aaina dikhaen sab ko lekin har aks mein apna hi sarapa nikla kyun na hum bhi karen us naqsh-e-kaf-e-pa ki talash shoala-e-tur bhi to ek bahana nikla ji mein tha baith ke kuchh apni kahenge 'sarwar' tu bhi kam-bakht zamane ka sataya nikla