aawazon ki dhund se darta rahta hun tanhai mein chup ko odh ke baitha hun apni khwahish apni soch ke bij liye ek an-dekhi khwab-zamin ko dhundhta hun samne rakh kar gae dinon ka aaina apne dhundle mustaqbil ko dekhta hun sahil sahil bhigi ret pe chalta tha sahraon mein tangen tod ke baitha hun meri sari samten raat ke ghere mein main subhon ki zakhmi aankh ka sapna hun ab to suraj odh ke baithunga 'qayyum' main ek thande yakh dariya se guzra hun