wo kahan mujh pe jafa karta tha jo muqaddar tha mila karta tha aaj sharmata hai suraj us se wo jo taron se haya karta tha sochta hun to hansi aati hai samne us ke main kya karta tha main pada rahta tha uftadgi se jada-e-shauq chala karta tha yaad aaya hai ki khush-bashi ko gham ka afshurda piya karta tha gard-e-rah ban ke jo yun baitha hun surat-e-shoala utha karta tha dil se ek huk bhi ab uthti nahin dil ki hangama bapa karta tha manzilon tak hai kadi dhup khadi main bhi sae mein chala karta tha ab wo marne ki udate hain khabar jin pe marne ko jiya karta tha wo bhi milte the kabhi mujh se 'nazar' kabhi aisa bhi hua karta tha