aaya hai ek shakhs ajab aan-ban ka naqsha badal gaya hai purane makan ka tare se tutte hain abhi tak idhar-udhar baqi hai kuchh nasha abhi kal ki udan ka kalak si jam rahi hai chamakti zamin par suraj se jal utha hai waraq aasman ka dariya mein dur dur talak kashtiyan na thin khatra na tha hawa ko kisi baadban ka donon ke dil mein khauf tha maidan-e-jang mein donon ka khauf fasla tha darmiyan ka 'alwi' kiwad khol ke dekha to kuchh na tha wo to qusur tha mere wahm-o-guman ka