khwahish hai aaine pe tujhe aaina karun par husn-e-be-baha teri ujlat ka kya karun be-kar ho chuka hun tere hijr ke tufail ab tujh ko intizar mein kya mubtala karun kaghaz ki ek naw utarun aur is ke baad dariya pe apna ghaiz-o-ghazab runuma karun pahle tujhe milaun kisi khwab-zar se phir subh ki dalil pe aankhen fana karun kuchh der bolne ka agar ehtimam ho main lafz ko lakir ka bhi muddaa karun