ab aap rah-e-dil jo kushada nahin rakhte hum bhi safar-e-jaan ka irada nahin rakhte pina ho to ek jura-e-zahrab bahut hai hum tishna-dahan tohmat-e-baada nahin rakhte ashkon se charaghan hai shab-e-zist so wo bhi kotahi-e-mizhgan se ziyaada nahin rakhte ye gard-e-rah-e-shauq hi jam jae badan par ruswa hain ki hum koi labaada nahin rakhte har gam pe jugnu sa chamakta hai jo dil mein hum is ke siwa mishal-e-jada nahin rakhte surkhi nahin phulon ki to zakhmon ki shafaq hai daman-e-talab hum kabhi sada nahin rakhte