aaya jo mausam-e-gul to ye hisab hoga hum honge yar hoga jam-e-sharab hoga nalon se apni ek din wo inqalab hoga dam bhar mein aasman ka aalam kharab hoga dikhlaenge tujhe hum dagh-e-jigar ka aalam munh is taraf kabhi to ai aaftab hoga ai zahid-e-riyai dekhi namaz teri niyyat agar yahi hai to kya sawab hoga wo radd-e-khalq hun main gar dub kar marunga murda mera wabaal-e-dosh-e-habab hoga wo mast hain idhar to rakhte nahin hain saghar maghrib se han numayan jab aaftab hoga ai zud-ranj tujh par jo log jaan denge rah rah ke turbaton mein un par azab hoga khun-e-siyaush ek din dikhlaega kharabi is zulm ka ewaz ai afrasiyab hoga tu naqd-e-dil ko le kar mukra tu hi thahar ja roz-e-hisab mere tere hisab hoga allah re un ka ghussa itna nahin samajhte kyunkar koi jiyega jab yun itab hoga dagh-e-jigar ko le kar jaenge hum jo ai dil jannat mein huriyon ko rahna azab hoga kya sair hogi wo mah laya agar harara chehra jo tamtamaya to aaftab hoga wo rind hun main zahid aane de hashr ka din us roz bhi ye banda mast-e-sharab hoga barsat hai bahaaren saqi-e-barq-wash ko chhaya hua chaman par kaisa sahab hoga ai mehr-wash to kyunkar parde mein chhup sakega abr-e-tunak ki surat munh par naqab hoga ai charkh-e-pir ab to ye haal hai sitam ka kya hoga jin dinon mein tera shabab hoga ai mughbachon tumhaara bayan qadam main lunga zahid ka gar amama rehn-e-sharab hoga dhoega apne talwe wo but jo sang-pasi shirin ka be-sutun par naqsha kharab hoga zulfon ka ishq kyunkar un se bayan karunga haal-e-dil-e-pareshan gunge ka khwab hoga sar-kushtagi mein mera kya sath de sakega ai aasman thahar ja na-haq kharab hoga furqat mein zabt-e-nala hum se na ho sakega qabu mein dil na hoga jab iztirab hoga likkhe ki kya khabar thi ye kaun jaanta tha laila ke sath padh kar majnun kharab hoga iman tum 'saba' ka us waqt dekh lena aankhon mein dam labon par ya bu-turab hoga