baadal chhate to raat ka har zakhm wa hua aansu ruke to aankh mein mahshar bapa hua sukhi zamin pe bikhri hui chand pattiyan kuchh to bata nigar-e-chaman tujh ko kya hua aise badhe ki manzilen raste mein bichh gain aise gae ki phir na kabhi lautna hua ai justuju kahan gae wo hausle tere kis dasht mein kharab tera qafila hua pahunche pas-e-khayal to dekha ki ret par khema tha ek phul ki surat khila hua aai shab-e-siyah to diye jhilmila uthe tha raushni mein shahr hamara bujha hua