aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe

aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe
ab tum mile to kuchh nahin apni khabar mujhe

dil le ke mujh se dete ho dagh-e-jigar mujhe
ye baat bhulne ki nahin umr bhar mujhe

har-su dikhai dete hain wo jalwa-gar mujhe
kya kya fareb deti hai meri nazar mujhe

milti nahin hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhe
bhuli hui na ho nigah-e-fitnagar mujhe

dala hai be-khudi ne ajab rah par mujhe
aankhen hain aur kuchh nahin aata nazar mujhe

karna hai aaj hazrat-e-naseh se samna
mil jae do ghadi ko tumhaari nazar mujhe

mastana kar raha hun rah-e-ashiqi ko tai
le jae jazb-e-shauq mera ab jidhar mujhe

darta hun jalwa-e-rukh-e-jaanan ko dekh kar
apna bana na le kahin meri nazar mujhe

yaksan hai husn-o-ishq ki sar-mastiyon ka rang
un ki khabar unhen hai na meri khabar mujhe

marna hai un ke panw pe rakh kar sar-e-niyaz
karna hai aaj qissa-e-gham mukhtasar mujhe

sine se dil aziz hai dil se ho tum aziz
sab se magar aziz hai teri nazar mujhe

main dur hun to ru-e-sukhan mujh se kis liye
tum pas ho to kyun nahin aate nazar mujhe

kya jaaniye qafas mein rahe kya moamla
ab tak to hain aziz mere baal-o-par mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close