karb chehron pe sajate hue mar jate hain hum watan chhod ke jate hue mar jate hain zindagi ek kahani ke siwa kuchh bhi nahin log kirdar nibhate hue mar jate hain umr-bhar jin ko mayassar nahin hoti manzil khak rahon mein udate hue mar jate hain kuchh parinde hain jo sukhe hue dariyaon se ilm ki pyas bujhate hue mar jate hain zinda rahte hain kai log musafir ki tarah jo safar mein kahin jate hue mar jate hain un ka paigham mila karta hai ghairon se mujhe wo mere pas khud aate hue mar jate hain jin ko apno se tawajjoh nahin milti 'jawed' hath ghairon se milate hue mar jate hain