sarhad-e-awaz dil ka dur se patthar na dekh tair-e-shauq-e-nawa tufan ke tewar na dekh matla-e-anwar hai go aaj tera aasman dubte suraj ki kirnon ko magar tan kar na dekh de lab-e-khamosh tak aai hui baaton pe dhyan gar sar-e-mizhgan khula ek dard ka daftar na dekh barg-e-khushk-o-tar rah-e-zer-o-zabar ek wahima ai ada-e-kajrawi ab shokhi-e-sarsar na dekh us ke jalwon se pare ek dard ki aawaz sun khwab ki tabir se dar khwab ka mehwar na dekh saf-goi juzw-e-iman hai to 'nasir' be-jhijak ji mein jo aa jae kah de jaanib-e-mimbar na dekh