aaya tha koi zehn tak aa kar palat gaya lekin bisat-e-dil to hamari ulat gaya hae wo sail-e-ashk jo palkon pe tham gaya aankhon mein apni aaj samundar simat gaya phailae hum khade rahe palkon ki jholiyan aaya umad ke abr magar wo bhi chhat gaya teri gali mein tera tasawwur kiye hue ek shakhs aap sae se apne lipat gaya dasht-e-hayat se koi guzra hai is tarah gard-e-qadam se waqt ka chehra bhi at gaya